Friday, 8 April 2011

HAZRAT SHESH ALYEH SALAM

HAZRAT SHESH ALYEH SALAM
jab hazrat adam(aliyh islam )habil(jisse qabil ne qatl kiya tha) uski museebat mein beqrar rehne lagay tu ALLAHtallah ne inke gham ko kam karne ke liyay aur unko tasali dene kel iyay hazrat jibrayil (alyih islam ) ko inke paasbeja aur farmaya ke haq tallah tuje aik farzand se nawazay ga ke jiski nasal mein se hazrat Mohammad(saw)sardare bani adam paida hunge..chunache habil ke marne ke 5 saal baad hazrat shesh (alyih islam) is duniya mein tashrif layay...woh husn o sorat aur seerat mein hasin hazrat adam
se mushahbat rakhte the...aur tamam aulaad mein hazrat adam ko sabse zyada mehboob aur pyaray the kuonke woh inthai farmabardar bete the(chonke khuda tallah ne unki nasl mein se aap(saw) ko paida farmana tha isiliyay us nasl ko pehle din se bedaag aur paak saaf bnaya)...aur hazrat adam ko woh bht aziz the isiliyay unho ne marne se qabl apna waliy e ahd hazrat shesh ko hi bnaya aur wasiyat farmayi kjab tofaan e nooh ayega aur tum is zmana ko dekh saqoo tu meri hadiyoon ko us kashti mein rakhwa dena jo gharq hone se mehfooz rhegi ya apni aulaad ko wasiyat dena ke woh is baat ko pora karein..hazrat shesh aksr zuban e hazrat adam ki behshat ki laztoon ke bare mein sunte the aur asmaani saheefoon(yeh woh kitabein hai jo allah talah ne apne peghambroon pe utari) ka mazmoon bi daryaft kartay the ...isiliyay woh aksr duniya ki laztoon se door huke tanha khuda ki ibdat mein masroof rehte thee...aur nafs ki rayazat aur tehzeeb o ikhlaq hameesha inke mad e nazr rehta thaa...is zmana mein bani adam do qism ke the baaz itbah( pairookar)hazrat shesh ke thi aur baaz qabil ki aulaad ki pairwi kartay thee..hazrat shesh ki tarmiyat pe baaz tu raah e rast pe ayay aur baaz nafarmani pe qayim rhe...jab 900 baras inki umr ko ghure tu rooh e mubarak jism e paak se parwaz karke arsh e muala pe ja puhnchi...aur hazrat shesh ki baaz naseehtoon mein hai k haqeeqi momin woh hai ke yeh haslatein usmein hun "awal tu khuda ko pehchanna ,dosra naik aur bad ko janna ,teesre badhshah waqt ka hukm baja lana ,teesre maan baap ki khidmat karta unke farmabardar hona inki haq pechanna ,panchwein sila e rehmi yani apnayat ke loogo se naiki aur mohabbat karna,chatein ghuse ko zyada had se na barhana ,satwein muhtajo aur maskiinoon ko sadqa dena aur rehm karnaa,athwein gunahoon se parhaiz karna aur muuseebtoon mein sabr karna aur novin shukr ilahi karna "



Notes : kindly agar is information mi koi bhol hogai ho to us k liay mazrat aur koi kami reh gai hoto plz share it,thank u.

No comments:

Post a Comment